• Hey there! Welcome to TFC! View fewer ads on the website just by signing up on TF Community.

My mother SBI Simply Save CC not close by the SBI Employee since 2019

mukundstud

TF Premier
Thank you once again my CID bro 🙂
I checked my mother cibil(difficult to open cibil so i visit in experian and CC is close but unhone Rs.5000 ke around ke liye ke kuch jada nhi hai by the way mujhe aaj pta chala meri mummy ka cibil 876 which is very good. Love you my CID bro
Mujhe lagta hai ki SBI Credit Card ke kisi agent ne 28 January ko call karke aapke mummy ke card pe mehenga insurance plan activate karwa diya tha. SBI Card ki sabse bekaar baat yehi hai, ki uske agents bakwaas insurance plans credit card par chipkaane ki koshish karte rehte. Maine bhi haal hi me SBI ka credit card banwaya hai. Approve hone ke just 2-3 din baad hi SBI Card ke agents call karke mujhe Rs.2500 ka Card Protection Plan(CPP) chipkaane ki koshish karne lage. Mai alert tha. Maine turant use mana kar diya. Mujhe force karne laga agent, to maine hadka diya use. Hamaare parents itna aware nahi hote. To humaare parents ko behkaa ke insurance plan chipkaana unke liye zyaada aasaan hota. Ye video dekhiye. Is video me bataya ki ek vyakti ko "Haa" bulwaa ke unhe ek SBI credit card agent ne Rs.20000 ka chuna laga diya:

Hume SBI Card agents ke is tareeke ke baare me kisi tarah RBI and IRDAI ko avgat karaana hoga. Warna ye log aise hi bhole bhaale logo ko lootte rahenge:mad:
 
Last edited:

Bro kya us 5000 ke liye principal nodal officer ko complain kar dun kyuki sbi ke employee ne CC close karne ke liye 5000 liya tha ?
 
Bob78900

TF Premier
Thank you for helping one more thing
Mere mummy ke CC ko aaj maine use kar ke dekha tha Amazon par OTP aaya tha main fill nhi kiya hai. Pics upload karta hun thodi der me
Mere papa ka bhi ek icici card closed kr va diyaa but 2 saal tk close ni hua mei randomly unki credit report dekh raha tha tho pata chala mujhe ki card 2020 se abhi tk activated hai. Tho meine complaint krdi time laga approx 1mahine ka usme thoda excess amount tha -10 rs kuch ka tho vo unhone waapis kiyaa aur 1mahine mei closed ho gaya card noc bhi bejh di unhone. Aur aap ki hi tarah meine amazon pe dala tha otp aya tha meine otp ni dala. Aur credit report aap cibil ke website par check karo bohot easy hai Experian pe bharosa mat karo youtube pe lakho video's hai mujhe bataye mei apko steps bata dunga message krna. Aur apke mummy ji ke card pe kisi agent ne mujhe lagta hai koi protection plan activate kr diyaa hai. Step by step complaint karo then kuch na hota tho rbi mei escalate karo
 
Okay CID bro 🙂. Ab mere lo lag ra hai ki easily handle ho jayega aap logo ki support ki vajah sirf.
 
mukundstud

TF Premier
Transaction hone ke 2 saal baad nodal officer ya RBI ko complain karne ka mujhe nahi lagta koi faayda hoga. Phir bhi complain karke dekh sakte aap. Aur agar insurance/ card protection plan ke naam pe paisa kata hoga, to use fraud transaction nahi bol sakte legally.

Aur jo apne CIBIL report ki pics bheji, unhe dekhke lagta hai ki aapke mummy ke card bills 3 din late jama hote the. Appki payment history me '3' ka matlab 3 din late payment karna hota hai.

Aur CIBIL me ye check karne ke liye ki card close hua hai ki nahi. Ye dekhiye ki us card ke section me date closed ki entry chadhi hui hai ya nahi. Jaise maine jo pic lagaayi hai is post me, usme dekhiye ki date closed ki entry chadhi hui hai mere indusind card ke section me(Maine us entry ko green paint kara hua hai). Iska matlab mera Indusind Card band ho gaya hai.
 
Attachments

  • indusind card close.png
    indusind card close.png
    76 KB · Views: 10

Bro i need extremely help from you.
"Meri mummy ka card use hi nhi hua tha" even activate bhi nhi toh fhir bill kaise generate hua kya ye bills insurance ya fhir protection plan ka hai. Aap confirm ho ki ye bill history hai jisme 3 din late show ho ra hai.please reply ASAP because aaj main confirm complain karne wala hun
 
Aap kya ye kehna chahte ho ki June 2019 se January 2020 tak aapki mummy ne card activate hi nahi kiya tha? Unhone kya ek baar bhi card use nahi kiya tha June 2019 se Jan 2020 ke beech?
 
mukundstud

TF Premier
Bro wahi toh meri mummy ne card activate kiya hi nhi hai 😅. Toh kis baat ka payment history show kar ra hai(Credit card sirf ghar me rakhaya oska aaj tak koi use nhi hua hai Or na hi activate kiye hain)
Mujhe yehi lag raha ki Insurance/CPP plan chipka diya tha agent ne. Kyunki transaction hone ke liye card activate hona jaroori hai. But ye agents sirf ek "Haa" bulwa lete credit card dhaarak se. Usme inhe transaction karwaane ki bhi zaroorat nahi padti. Automatic Insurance/CPP ka paisa katne lagta hai. Agar agents ke pass recorded call hogi, jisme aapki mummy ne "haa" bola hai CPP ke liye, to aapki RBI complaint reject ho jaayegi. Ek to do saal se bhi zyaada ho gaya hai is case ko. Pata nahi RBI/IRDAI kitna seriously lega complaint ko. Complainnt karke dekh sakte. Kya pata luck kaam aa jaaye.
 
mukundstud

TF Premier
Papa ka account link tha osse debit hota tha
Mai confuse ho raha hu. Agar possible hai to June 2019 se January 2020 tak ke jitne card bills generate hue hai, usme personal details hide karke sirf transactions ki photo bhej dein. Aap logo ne card se koi transactions nahi kare honge. So I don't think ki statement share karne me privacy ka koi issue hona chahiye.
 
mukundstud

TF Premier
Red colour wala box ka transaction nhi pta kiska hai agar pta ho toh btana bro.
Yellow wala sbi credit card ka hai
Ye to bank ke transactions hai. Mujhe Credit Card ke transactions dekhne the. Credit Card Statements aam taur par registered Email ID pe aate hain. Waise aapne bataya tha ki card number daalne par mummy ke mobile pe OTP aata hai. To ho sakta aap us card ka account bhi access kar paaye. Aap SBIcard ki website pe jaake apna account bana lijiye card details daalke. Phir wahaa se transaction history nikaal sakte June 2019 se January 2020 tak ki. Main apna SBI Card mobile app ka screenshot bhej raha jahaa se mai Transaction History nikaal sakta. Kuchh isi tarah aap apne credit card ki transaction history nikaalne ka try karein.

And Red Box me jo transactions hain, usme lag raha kuchh paisa account me aa raha hai. Shayad kisi FD ka byaaj ho. Mai pakka keh nahi sakta.
 
Attachments

  • SBI Card 1.jpg
    SBI Card 1.jpg
    335.1 KB · Views: 6
  • SBI Card 2.jpg
    SBI Card 2.jpg
    173 KB · Views: 6
Ye to bank ke transactions hai. Mujhe Credit Card ke transactions dekhne the. Credit Card Statements aam taur par registered Email ID pe aate hain. Waise aapne bataya tha ki card number daalne par mummy ke mobile pe OTP aata hai. To ho sakta aap us card ka account bhi access kar paaye. Aap SBIcard ki website pe jaake apna account bana lijiye card details daalke. Phir wahaa se transaction history nikaal sakte June 2019 se January 2020 tak ki. Main apna SBI Card mobile app ka screenshot bhej raha jahaa se mai Transaction History nikaal sakta. Kuchh isi tarah aap apne credit card ki transaction history nikaalne ka try karein.

And Red Box me jo transactions hain, usme lag raha kuchh paisa account me aa raha hai. Shayad kisi FD ka byaaj ho. Mai pakka keh nahi sakta.
Okay bro ek aur baat agent ne fake email add kiya tha wo email create nhi hua tha main check Kiya tha.Par main gmail id bna liya jo osne add kiya tha
(Yesterday ko create Kiya tha)
Account create karke ke sent karta hun
 
Bob78900

TF Premier
Bro operation is not permitted show ho ra hai. Sorry bro thoda late reply kar ra hun. Image attach hai
Koi ni maybe technical issue hoga. Baad mei try karo ya device dusra use krke dekho. Fir bhi na ho tho I'll suggest you to mail sbi credit card department and mention ki apka ek closed credit card hai uski statement chaiyee apko. Mention krdena card ke first 4and last four digits. Registered mail and phone number. Aur bol do ki apko past itne months ki statement chaiyee. Vo bejh denge 4-5 din mei ya customer care ko call karlo ya mail pe aati hogi tho usme dhoond lo. Simple. Customer care aur email mei likh do apko apke email pe itne months ki statement chaiyee bas
 
Top